Parichay Lyrics In English – Ikka | Amit Bhadana

Parichay Lyrics - Ikka | Amit Bhadana

Parichay Hindi lyrics – the latest Hindi song sang by Ikka, lyrics were written by Amit Bhadana, and music created by IkkaThe music video Featured by Amit Bhadana, Story by Amit Bhadana.

Song credits : 


✏ Song: Parichay
✏ Singer: Ikka

✏ Music: Ikka
✏ Lyrics:  Ikka & Amit Bhadana
✏ Actor: Amit Bhadana

Official video : 

“Parichay” Hindi lyrics : 

Jwala jaga andar
Kis baat se hain tang
Duniya se nahin khud se hain teri jung
Beemar ho gaya tha laga maut thi kareeb
Wo daur tha kuch aisa wo waqt tha ajeeb
Jab ye laga tha lagne ki khota hain naseeb
Tab mila youtube aur khud mein believe.

Middle class family par soch rakhi high
Aaj bhi hain yaad Chacha ki sutayi
Pitaji ka gussa uske piche ke duaaye
Aaj bhi ho takleef toh Maa hi yaad aaye.

Haan Mujhse Pucho kise kehte hain rona
Haan mujhse pucho kya hota hain khona
99 mein kho diya pitaji ko maine
Mujhse pucho hota kya hain Pitaji ka hona.

Mere Chachaji aur Dadi bhagwan ke do roop
Chaav mein rakha
Na lagne di hain dhoop
Paal  ke bada kiya padha diya naseeb
Hain naseeb wale hote jo apno ke kareeb hain.

Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj woh hain tareefein
Aaj wahi taaliyaa
Maine ki hain mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya
Choti si umar mein
Ek chotu mera yaar tha
Bat ball khelte
Wahi mera pyaar tha
Ghar ki gareebi ki wajah se sab chodda
Aaj bhi hain yaad Chacha ne Jab balla mera toda
Khel kud chodd jimmedariya uthayi
Sapno ko chodd karne laga main padhayi
Tha aata taras dekh maa ki tanhayi
Behen bethi ghar pe jiski sunni thi shehnayi
School mein tha mashkara sabko tha hasata
Band kamre mein roya
Na kisi ko jatata
Adhyapak the bolte ke isko na padhana
Pankaj – Kaushal bole naam hain
AMIT BHADANA

18 ka ladka
College mein jaake bhatka
Chakachond mein tha kho gaya
Jo na tha main woh ho gaya
The jinke dil tode
Unse maafi hath jodke
Jinhone diye dhokhe unhe ram ram bolke
Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj woh hain tareefein
Aaj wahi taaliyaa
Maine ki hain mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya

Parivar hai bana liya
Padhayi mein na mann
Kuch bada tha karna
Jeb khaali roti aankhe aur akela kamra
Aankho mein le aansu hasna maine sikha
Hasne ne sikhaya mujhe jeene ka tarika
Angrezi gaano pe kiye desi gaane mix
Dubbing sun logo ka pyaar hua fix
Copyright pad gaya udd gaya content
Tot gaya dil bhikhre the saare sentiment
Phir main khud video mein aaya
content fresh tha maine banaya

Desi Content jo desh se juda
Desi dekh desi sab tha banne laga
Party mein mile kuch bade youtuber
Udaya jinhone mera muuh par mazak
Gussa mein pi gaya
Wapas wahi gaya jahan tha
Avinash aur Rohit ka saath
Maine kaam se diya naam waalo ko jawaab
Sabke muuh band chukta hisaab
11 million ka tay kiya fasla
Yeh fans meri jaan mere fans mera hausla
Fanfest

Jinke liye chodda
Unhine dil toda
Ki dagabaazi mujhe andar se jhinjhooda,
Fanfest bhi jaunga
Gale fans ko lagaunga
Pichle saal nahin aaya maafi main chahunga
Jo mehnat se kamaye un fans pe hain naaz
Desh ki awaaz char paanch dost khaash
Dost yaar kum
Par jitne lajawab
Poore kiye khud ke dum pe jitne dekhe maine khwaab
“Kuch logo ka yeh bhi kehna hain
Na toh yeh party karta hain
Na hi yeh industry ke logo se milta hain,
Main batata hu

Iss Industry ka culture hi kuch aisa hain
Yeh ugte sooraj ko salaam karte hain
Jab mera bura waqt mere kaam ke liye tha
Toh mera achha waqt bhi kaam ke liye hi hoga”
Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj woh hain tareefein
Aaj wahi taaliyaa
Maine ki hain mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through  naya
Parivar hai bana liya

Bachho ke saath mummy papa ko hasaya
Gandh nahi content parivarik banaya
Phir bhi kaafi log bus gandh hi sarahte hain
Mere saaf content aur views jawaab de jaate hain (Aankhe khol lo)
Instagram admin mujhe rukna yeh chahte
Par yeh log meri soch kabhi rok nahin paayenge
Jitna bhi laga lo zor utna laga lo
Par yeh ugte sooraj ko kabhi rok nahin paayenge
fb insta admin (padhe likhe gawar) ka bus kaam karna burayi chand rupee lekar
Ka bus kaam karna burayi chand rupee lekar
Na deen na imaan yeh woh jo ghumnaam
“Phir bhi kya ukhaad liya itna paise dekar”
-Laughter-

Mera vision clear inka hain blur blur
Barsati mendhak saare karein trrrr trrrr
Bhole bhaale bachhe bigadte ho tum
Jaldi se utro yeh bithayenge na sar par.
Kuch anpadho ka kehna amit hain gawar
Kyunki apni desi boli ka kiya hain parchar
Jo kiya hain maine uska aadha bhi tu kar
M.A LAW ki deegriya sad rahi hain ghar par
Angrezi aati achhe se tujhe sikha bhi du
“HINDUSTAN” ki main mitti tabhi toh hindi hu
Jo bhasha apni bolne mein sharmate hain
Woh wahi hain thukkte jahan woh khaate hain.
Kapde se jaati class nahi dekhi
Maine daali dariya mein karke kaafi neeki

Ek hi hain
Aur ek hi rahega
Hain talent pe yakeen
Na ki koi shekhi
Youtube aur viewers main aapka abhaari hu
Pyaar aapka tabhi sab pe bhaari hu
Na main fake na fekun
Bus itna farak “MAA” ki aankho ka hu taara
Jo raha hain chamak
Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj woh hain tareefein
Aaj wahi taaliyaa
Maine ki hain mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya

Parivar hai bana liya
“Pitaji aaj aap jahan par bhi ho
mujhe pta hain aap mujhe dekh rhe ho
tabhi aapka aashirwad aur pyaar mere sath hai
Mummy aap mere sir ka taj hain
Dadi aur Chacha ko bhi aaj mujh par naaj hain
Dosto tumhari bhabhi bhi mere pass hain
ye gana un sabhi ke liye
jinhone mujhe bhaut kuch sikhaya
Aur aaj kya se kya banaya
mere sabhi chahne walo ko dil se shukriya aur pyaar
Aur na chahne wale ko bhi bhaut sara pyaar.
aapka apna Amit Bhadana
Fast2lyric FAQs & Trivia
☑ Who wrote the lyrics of “Parichay” song?
 Ikka & Amit Bhadana has written the lyrics of “Parichay”.

☑ Who is the singer of “Parichay” song?
Ikka has sung the song “Parichay“. 
☑ Who directed “Parichay” music video?
Inflict directed the music video of “Parichay”.

☑ Who has featured in the music video?
The music video of “Parichay” features Amit Bhadana.




A little request. Do you like “Parichay” Lyrics in Hindi? So please share it. Because it will only take you a minute or so to share. But it will provide enthusiasm and courage for us. With the help of which we will continue to bring you lyrics of all new songs in the same way.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment